Welcome to website of my shayris
Abhimanyu's Shayri - Shayris written by me
 

Home
Contact
Guestbook
Suggestion
Shayris written by me


Abhimanyu Ghosh
(READ IN HINDI)
PREM KI SHER O SHAYRI

Arz kiya hai

Yeh ishq nahin asaan hai yeh pyaar bada mushkil
Yeh ishq nahin asaan hai yeh pyaar bada mushkil
Hum to tere deewane hai
aur hamesha tera deewana rahega mera dil

Arz kiya hai
Kuch log ishq ke maare doob jaate hai
Jin ko ishq nahi hota woh zehar pikar mar jaate hai
Aye Sanam hum aashiq hai tere bewafa nahi
Hum tere dil mein hamesha rahenge jab tak tum chaahoge
Agar Tum nahi mile to hum Moth ko gale laga lenge

Arz kiya hai
Main awara nahi main badal nahi hoon main aashiq
Tere naam ka
Main paagal hoon ya aashiq hoon bas deewana
Tere naam ka

Arz kiya hai
Teri Aankhon se peeloo Sharaab
Tere Hoton se peeloo Jaam
Seene se lagalo aur
Tere Dil mein likhdoo mera naam

Arz kiya hai
Kuch Laila bane Kuch Majnu bane
Kuch Heer bane kuch Ranjha bane
Kuch Adam bane kuch Eve bane
Magar hum kya bane yeh to rab hi jaane
Aur hamaara Ishq hi jaane

Arz kiya hai
Jabhi main teri in aankhon mein dekhta hoon
To main in mein khojaata hoon
Jabhi main teri Hoton ko Chhoota hoon
To aisa lagta hai ke tere hoton pe mera naam basa hai
Jabhi main tumhe seene se lagata hoon
To aisa lagta hai ke tumhaare dil ne mere dil ko pukaara hai
Jabhi main tumhaare in baalon ko Chhoota hoon
To phool barasne lagte hai

Arz kiya hai
Aye mehbooba mujhe itna Tarpao mat
Aye Dilruba mujhe itna Satao mat
Aye Jaan tumne kiye the Vaada
Kab Aaoge Kya hai Iraada
Kab milne ko Aaoge

Arz kiya hai
Duniya mein kitni bhi hai Nafrate
Phir bhi Dilo mein hai Chaahate
Duniye mein kitni bhi hai Nafrate
Phir bhi dilo mein hai Chaahate
Mar bhi Jaaye Yaarwale Mit bhi jaaye Pyaarwale
Zinda Rehti hai unki Mohabbatein
Zinda rehti hai unki Mohabbatein

Arz kiya hai
Kabhi kabhi mera mann aur mera dil tumhaare saath
Kuch pal beetna chahte hai
Kuch Pal geet gaana chahte hai
Kuch pal baatein karna chahte hai
Kuch pal tumhaari aankhon mein khojaana chahte hai

Arz kiya hai
Oh meri Sapno ki rani
Chahe tum Hindustan mein ho ya Ragestan mein
Tum jaha bhi ho jald se aajao
Mere dil ko teri hai zaroorat

Arz kiya hai
Lambe baalwali ho ya medium baalwali
Ho tum bahut khoobsurat
Magar mera dil kya kare
Hai tumko bahut zaroorat

Arz kiya hai
Kaash main tumhaare liye kuch bhi kar sakta hoon
Kaash main tumhaare liye raat ke chaand aur taare tod kar tumhaare godh mein rakh leta
Kaash main tumhe hamesha pyaar karta rehta aur mera dil aur jaan tere liye loota deta
Kaash main tumhe aasmaan ke saher karata take tum mujhe jiy bhar ke pyaar sakhte ho
Kaash main yeh sab shayari aur kavitaye sab tumhaare naam kar deta
Kaash main tumko keh pata ke main tumse kitna pyaar karta hoon

Arz kiya hai
Jab se main tumhaara chehra parda hoon
Main sochta hoon kya tum mere liye banaya gaye ho
Jab se main tumhaare aankhen dekha
Main sochta hoon kya tum ek pari ho jo insaan ke roop mein aaye ho
Jab se main tumhaare haath parda hoon
Main sochta hoon ke kya in mein mera naam likha hai ke nahi

Arz kiya hai
Jab main chand ko dekhta hoon to tera chehra nazar aata hai
Aisa lagta hai ke tum ek chaand ka tukda ho
Jab Chaand hasti hai to main tumhaara muskaan dekhta hoon
Jab Baarish hone lagte hai to main sochta hoon ke tum ro rahi hoa
Kaash main tumhaari in Aansoon ko poch sakta hoon
Kaash tumhe mera sapna dekhaata
Kaash tumhe apna bana leta
Kaash tum apne sar mere upar rakhte aur
Sare ghum nikaal dete aur main tumhe har khushi de sakta hoon
Kaash hum hamesha ek rahe aur kabhi juda na ho

Arz kiya hai
Jab se maine tumhe dekha hoon
Tab se mera raat ke neend ud gayi
Aankhen bandh karoo to main tumhe dekhta hoon
Jab mera aankhen khula rehta hai to main tere baade mein sochta hoon
Jab tum nahi aate to mera mann aur dil udaas ho jaata hai
Pata nahi kya hogaya hai mujhe

Arz kiya hai
Tumhaari naam bahut pyaari hai
Tumhaari aankhen bahut pyaari hai
Tumhaara muskaan bahut khaas hai
Mera dil kabhi kabhi sochta hai
Ke tumse haath milaane ko

Arz kiya hai
Kuch dost aise hote hai jo jaane ke baad bhi nahi aate
Kuch dost aise hote hai jo jaane ke baad bhi nahi aate
Magar
Kuch dost aise hote hai jise dil se yaad karo
To Vo wapas zaroor aa jaate hai

Arz kiya hai
Maine tumhe bahut dhoonda
Sab se sawaal bhi bahut pooche
Ke tum kahan gaye ho
Jab jawaab mila ke tum
College aur shehar chhode ho
To main bahut udaas tha
Maine tumhe yaad bhi bahut kiya
Magar tum nahi aaye
Jab maine dil se pratna kiya
Ke tum jald se mil jaao
Bhagwaan ne mera kehna sun liya
Aur main bahut khush hoon
Jab maine tumhe saamne paaya

Arz kiya hai
Teri aankhon par saje kajal se
Tere pairo par baandhe payal se
Tere kaano par saje sone se
Tere gale par saje gehne se
Tere hoton se pukaare mera naam
Kahan ho tum meri jaan

Arz kiya hai
Main tera Sharaab tu meri Jaam
Main tera Chaand tu meri Chaandni
Main tera Phool tu meri Khushboo
Main tera Raja tu meri Rani
Phir bhi kyon hum dono hai doori

Arz kiya hai
Pyaar diya to dil denge
Dil diya to dard denge
Dard Diya to Jaan denge
Tum nahin mile to hum
Sab kuch Jala kar raakh kar Denge

Arz kiya hai
Chham chham karke Aayegi
Tham Tham karke Jaayegi
Kuch Kahe to Vo hasaayegi
Kuch na kahe to Vo Rulaayegi

Arz kiya hai
Mujhe na koi ghar mein rehna hai
Mujhe na koi mandir mein rehna hai
mujhe na ko ghar mein rehna hai
Mujhe na koi mandir mein rehna hai
Mujhe na koi bas mein rehna hai
Mujhe bas rehna hai tere dil mein
Teri dhadkan bankar

Arz kiya hai
Teri ek aasoon saagar ki moti ki tarah hoti hai
Teri ek muskaan surya ke kirne ki tarah hoti hai
Teri ek jhalak karde mere dil ko ghayal
Jab hum chhup baitthe hai to
dil aapas mein baat kar lete hai
Jab dil khamosh rehta hai tab
Ishaaro se baat kar lete hai
Jab hum baat karte hai tab
Dil kehta hai dusre dil se ke
Jaanam hum mohabbat karte hai aapse

Arz kiya hai
Mohabbat kya cheez hoti hai
denewalo ko bahut pyaar dete hai aur
Na Denewalo ko kum pyaar milte hai ya kuch nahi milte
Mohabbat ek zariya hai jis se do dilon ko milata hai
Agar mohabbat na hota to itne saare premi ajnabee hote ya sirf dost hote

Arz kiya hai
Chham Chham kar gayi
Dil ko Ghayal kar gayi
Bina kuch kahe
Mujhko bhula kar Gayi

Arz kiya hai
Neele Neele aankhen
Gore Gore Gaal
Aye Hai!!! Teri adaa
Karde mere dil ko bura haal

Arz kiya hai
Mausam badalte rehte hai
phool khilte hai baagon mein
Log milte hai Galiyon mein
Jab raat hoti hai tab chaand taare hote hai
Log apne – apne premi ke khayaalo mein khojaate hai
jab subha hoti hai tab surya ke kirno se use jagaati hai
Vo kirno ki roshni se ut jaata hai phir apne kaam ke liye tayaar hojaate hai
Vo sajhti hai aur savarti hai subha subha aur kaam par nikal jaati hai
Phir Vo kaam ke break se apna beetha hue lamhe mere baade mein sochti hai
Phir Unke kaam ke baad raat ko apne ghar aa jaati hai
Ekdum thaka hua vo baithjaati hai
abhi tak vo sochti hai ke kab aayega unke premi unse milne
vo Intezaar karti hai us lamhe tak jab unka premi unse milne ko aayega

Arz kiya hai
Chamakti huyi taare Sarsarati huyi leher
Chamakti huyi taare Sarsarati huyi leher
Aaj kehti hai humse Aa dosti kar le
Beethe huye pal ko bhool kar
Aanewale pal mein jee le
Kal ho na ho hum rahe na rahe
Par Hamaari dosti sada jawaan rahe

Arz kiya hai
Phool khilte hai bagaion mein log milte hai galiyon mein
Phool khilte hai bagaion mein log milte hai galiyon mein
Pyaar hota hai dil se par hum pyaar karte hai tumse

Arz kiya hai
Baarish tapti hai asmaan se
Jwala phati hai dharti se
Dil milaate hai pyaar se
Aur mohabbat hoti hai badi mushkil se

Arz kiya hai
Dil phoolon se banta hai kaanton se nahi
Dard Kaanton se banta phoolon se nahi
Hum pyaar karte hai tumse kisi aur se nahi

Arz kiya hai
Teri baalon par saje gajra
Teri Aankhon par saje kajra
Tere haathon par lage Kagna
aur…
Tere dil pukaare Sajna… Sajna…

Arz kiya hai
Maathe par bindiya laga kar aayi
Kaano par Jhumke laga kar aayi
Gale par Gehne saja kar aayi
haathon mein kangna laga kar aayi
Aur Pairon mein payal baand kar aayi
Main Muskuraaye Vo Sharmaaye
Haathon par saje mehndi ke Rang
Aur uske dil dole mere sang
Aayi Re….Aayi
Meri dulhan bankar Aayi

Arz kiya hai
Mere dil to pagal hai tere liye de doon zindagi humaari
Kyo ki tum bane mere jeevan saathi aur main banoo tera humraaz
Pata nahin koi mere dil se pooche kuch to hai
Jis se dil kuch kuch hota hai aur mera mere dil mein sirf tum ho
Kyo ki tera naam basa hai aur soch raha hai
Kabhi na kabhi dilwale dulhania le jaayenge
Ab tum bhi kaho na pyaar hai jab kaho dil se kaho
Aur mujhe kuch kehna hai ki mujhe jeena hai sirf tere liye

Arz kiya hai
Katil kare teri nazre
Hosh uraaye khulle huye teri baal
Dil machalta hai teri meethi huyi baatein
Dil ko tadpaaye teri yaadein
Dil toota hai tumse juda hokar
Par mohabbat badti hai tumse milkar
Dil ghayal hota hai jab tumhe kisi aur ke saath dekhta hoon
Dil paagal hota hai jab tum meri baahon mein hote ho

Arz kiya hai
Kuch Shayri apni dil se likha hoon
Zara dil se padiyega
Kuch tasveere apni mann aur dil se banata hoon
Thoda Gaur kariyega
Kuch cheez apni dil mein rakha hoon
Ise andar dil mein rehne do
Agar bahar Aayega to dil toot jaayega
Jo Raaz hai usko raaz rehne do
Raaz hai ki “Jaanam hum mohabbat karte hai tumse”
Par darta hoon ye kehne ki kahin humaari dosti ka anth na hojaaye
Kahin mera dil na toot jaaye hamesha ke liye
Mera dil ek sheesha ke jaise hote hai
Koi pathar maare sheeshe ho to ttoot jaate hai
Dil tootne par chithere ho jaate hai
Aur chithere ko uthaane se khoon nikal aate hai
Khoon nikal ne se bahut dard hota hai
Aur main tumhaara dard nahi seh sakoonga

 
Arz kiya hai
Hai Mujhe shayri ki Shaukeen
Ghum ko bhulaane mein likhta hoon shayri
Pyaar ko paane mein likhta hoon shayri
Khaas dost logo se main banata ho shayri
Pyaar khone mein likhta hoon shayri
Hai Mujhe shayri ki Shaukeen
Bichhade huye dost ko milata hai shayri
Pyaar ko masboot banata hai Shayri
Dil ko milaata hai Shayri
Rokar, Hasaata hai shayri
Akhir Log kyon likhte hai Shayri
Log apne ehsaas ko jagaate hai shayri
Hai mujhe Shayri ki Shaukeen
Isliye main likhta hoon shayri

Arz kiya hai
Diwali laaye khushiyo ki roshni aur mitaas
Holi Laaye Pyaar Bhari Rang
Christmas laaye Dher saare tofe aur
Valentine’s Day Laaye dil ka Ehsaas

Arz kiya hai
Kuch log ishq mein pagal hote hai
Kuch log ishq mein ghayal hote hai
Kuch Log ishq mein pagal hote hai
Kuch log ishq mein ghayal hote hai
Yeh kambakht ishq hi  aisa cheez hai jo dete hai
Kabhi khushi Kabhi Ghum

Arz kiya hai
Har Bagion ki gulaab ho tum
Har Khushboo ki Sugand ho tum
Har Geet ka Ghazal ho tum
Har Kaviyo ki Kavitaaye ho tum
Har Muskuraahat ki muskaan ho tum
Har Ansoon ka sahara ho tum
Har Mithaai ka Mitaas ho tum
Par in sab se pehle...
Aye Dost Bahut Khaas ho tum

Arz kiya hai
Aankhon par aankhen
Dekhe hai sapne
Aankhon par aankhen
Dekhe hai sapne
Aankh khuli to
Sapne bhi huye apne

Arz kiya hai
Dil tod ke na jaa
Mu Mod ke na jaa
Dil ko ghayal kiye jaa
Bas apna bana liye jaa

Arz kiya hai
Raste hai lambe
Duur tak jaana hai
Pyaar ka rasta
Use Nibhaana hai

Arz kiya hai
Yeh Pyaar kya cheez hoti hai
Humne jaana nahi
tumse milkar
Humne pehchaana nahi
Tumse duur hokar hume ehsaas hua
Yeh pyaar kya cheez hoti hai

Arz kiya hai
Badal garja barsaat na aaye
Suraj chamka roshni na aaye
dil pukaara aur tum na aaye

Arz kiya hai
Sharaab Shabaab hai
Pyaar Pyaas hai
Dilruba meri shabnam hai
Ishq bhool jaana namumkin hai
Iski sapne rulaati hai
Iski chaahat tadpaati hai

Arz kiya hai
Vo Dil, Dil kis kaam ka
Jisme dilruba na ho
Vo pyaar kis kaam ka
Jisme mehbooba na ho
Vo Sharaab kis kaam ka
Jisme nasha na ho
Vo Shayri kis kaam ka
Jiska asar na ho
Vo Dosti kis kaam ka
Jiska bharosa na ho

Arz kiya hai
Rishta Banta hai Phoolon se
Dushman banta hai kaaton se
Dosti banta hai bharose se
Pyaar banta hai ehsaas se

Arz kiya hai
Rooth kar humko bhool mat jaana
Rooth kar humko bhool mat jaana
wafa se bewafa mat kar jaana

Arz kiya hai
Teri chaahat tadpaati hai mujhe
Teri yaadein sataati hai mujhe
Tum door hokar bhi paas bulaati ho mujhe

Arz kiya hai
Rokar hasna seekho
Haskar rona seekho
Zindagi bhi aaye to jeena seekho
Kal kya pata hum ho na ho
Maut bhi aaye to marna seekho

Arz kiya hai
Na main Duryodhan hoon
Na main Shree krishna hoon
Na main arjun hoon
Main to bas
Veer Balak Abhimanyu Hoon

Arz kiya hai
Tasveer zara banata hoon
Zara gaur kariyega
Tasveer zara banata hoon
Zara Gaur kariyega
Yeh kisi aur ki tasveer nahi
Sirf teri hai Mehbooba

Arz kiya hai
Chaahe Agra ki Taj Mahal ho ya Delhi ki lal Quila
Har Imaarat ki koi na koi kahani hoti hai
Kitne Raja Aaye kitne Raja Gaye
Har Imaarat  par kisi na kisi rajaye ki kabar hoti hai
Log abhi bhi yaad bhi yaad karte hai un rajao ki jo imaarat banakar gaye

Arz kiya hai
Chaahe Bunty ka babli ho ya
Majnu ka laila ho ya
Kisi Raja ka Rani
Tum to sirf meri dil ki rani
aur hum dono pura kar sakte hai
Apni Prem Kahani.

Arz kiya hai
Pyaar na Phoolon se banta hai na kaaton se
Pyaar na phoolon se banta hai na kaaton se
Bas banta hai dil aur ehsaas se

Arz kiya hai
Masjit banta hai musalmaano ke liye
Mandir banta hai hinduo ke liye
Dil banta hai sab ke liye
Ghar banta hai rehnewalo ke liye

Arz kiya hai
Humse door hokar juda mat hona
Humse door hokar juda mat hona
Dil ke kareeb rehkar udaas mat hona
Paas rehti ho tum mere kuch to kaho na


Arz kiya hai
Maathe par Bindiya
Churaaye mera Nindiya
Kaano par Jhumke
Maare Sabko tumke
Haathon par kangna
Bas banale apna

Arz kiya hai
Na raat ko neendh aati hai
Na din ko chain aati hai
Har Roz tumhaari
Yaadein Yaad aati hai
Aur sapno mein tum aati ho
Kitna tadpaati ho aur kitna sataati ho
Kitna bechain karati ho mere dil ko
Ke milne ki chaahat hojaati hai

Arz kiya hai
Na Pyaar koi khel hai
Na pyaar koi sauda hai
Na pyaar koi khel Hai
Na pyaar koi sauda hai
Pyaar to Bas
Do Dilon ka Vaada hai

Arz kiya hai
Na shaadi koi khel hai
Na shaadi koi sauda hai
Na Shaadi koi khel hai
Na shaadi koi Sauda hai
Shaadi to bas
Saath janmon ka Vaada hai

Arz kiya hai
Hasaaye Vo Dsoti
Rulaaye Vo Pyaar
Milaaye Vo Dosti
Mitaaye Vo Pyaar
Zindagi deti hai Vo Dosti
Zindagi Lete hai Vo Pyaar
Aakhir Log dosti chhod kar
Kyo karte hai Pyaar

Arz kiya hai
Hasaati hai Mohabbatein
Rulaati hai Mohabbatein
Phir bhi do dilon ko milaati hai Mohabbatein
Tadpaati hai Mohabbatein
Sataati hai Mohabbatein
Phir bhi do dilon ko jalati hai Mohabbatein
 
Arz kiya hai
Oh meri sapno ki rani
Ab mujhe sharaab bhi lagta hai pani
Kyo kar rahe ho itna Pareshaani
Mat karo itna Shaitani
Ab mera dil bhi bole
Jaani o meri Jaani

Arz kiya hai
Mohabbat na mulk se hota hai na mazhab se
Bas hota hai chaahat aur Ehsaas se
Mohabbat na naam se hota hai na Pehchaan se
Bas hota hai dil se

Arz kiya hai
Phool Khile Gulshan Gulshan
Badal garje Madham Madham
Payal bole Cham cham Cham cham
Dil mile Dhadkan Dhadkan

Arz kiya hai
Dil mein likhdiya tera naam
Hoton se peeliya tera jaam
Abhi raath bhi lagti hai mujhe shaam
Kaise kahoo tera naam

Arz kiya hai
Door hokar humein yaad aati ho
Door hokar humein yaad aati ho
Paas bulaane pas door kyo chali jaati ho
Kohinoor ho ya heera ho kuch to kaho
Ya kudrat ki karishma ho tum
Jo bhi ho dil ki rani ho tum

Arz kiya hai
Humko sirf tumse pyaar hai
Dil ka sirf tera hi intezaar hai
Seene mein ek raaz hai ki
Jaanam hum tumse mohabbat karte hai

Arz kiya hai
Humsafar bankar Aayenge
Humsafar bankar Jaayenge
Tum kaho to hum tumhaare liye
Saath Janmon Hojaayenge
Varna…
Maut ko bhi gale laga jaayenge

Arz kiya hai
Marte marte hum marna sake
Jeete Jeete hum jeena sake
Sote Sote teri yaadon mein
hum sona sake

Arz kiya hai
Dil diya humne Vo muskurake Le liye
Dil diya humne vo muskurake le liye
Do baatein kiye the humne
Vo Sharmakar chhupgayi

Arz kiya hai
Pyaar ko bananewale to khoob dekhe hai
Pyaar ko mitaanewale to bahut dekhe hai
Par pyaar ko masboot bananewale ko
Pehli baar ek sacha aashiq dekhe hai

Arz kiya hai
Jeena bhi mushkil
Marna bhi mushil
Tere begair har kaam
Bhi lagta hai mushkil

Arz kiya hai
Mehendi laga kar Aayi
Doli mein baith kar Aayi
Sasuraal Chhod kar Aayi
Apne Saajan ke ghar Aayi
Khushiyon ki bahaar lekar Aayi
Meri dulhan bankar Aayi

Arz kiya hai
Aankhon se aankhen
Milaadiya humne
Dil ko bhi phool
Banadiya tumne
Haathon se pilaadiya
Tumne Jaam
Ab mujhe raat bhi
Lagti hai mujhe shaam

Arz kiya hai
Kaaton se kheloge to
Khoon niklega
Dil se kheloge to
Dard milega
Phool se Kheloge to
Chaman khilega
Pyaar se kheloge to
Toote huye dil milega
Zindagi se kheloge to
Maut milega
Maut se Kheloge to
Bhagwaan milega
Bhagwaan se kheloge to
Shraap Milega


 
Arz kiya hai
Har Laila ko dil todte huye dekha
Har laila ko dil todte huye dekha
Par Tujh jaisa laila ko
Dil sambhaalte huye nahi dekha

Arz kiya hai
Tum ek chaand ho
Jo raat ko jagmagaati ho
Tum ek sitaare ho
Jo aasmaan ko chhoojaati ho
Tum ek phool ho
Jo bagaion mein khiljaati ho
Tum ek pari ho
Jo har duao ko puri karjaati ho
Tum ek dil ho
Jo bhi chaaho tum uski hojaati ho
Par in sabse pehle
Tum sirf meri ho

Arz kiya hai
Pathar ko phool banaya humne
Pyaar ko masboot banaya humne
dil ko chura liya hai tumne
Bas apna bana liya tumne

Arz kiya hai
Humne tumko dekha
tumne humko dekha
Baat baaton mein hum
Dil lena dena dekha

Arz kiya hai
Pyaar majboori hai
Pyaar kamzori hai
Pyaar to bas
Zaroor hai

Arz kiya hai
Chaand ki aan ho tum
Zindagi ki dastaan ho tum
Guzra hua kal ki shaan ho tum
Phoolon ki meherbaan ho tum
Dilruba meri jaan ho tum
Jo bhi ho…
Meri aan, baan aur shaan ho tum

Arz kiya hai
Haste haste tum hasna seekha
Rote rote tum rona seekha
Jeete jeete hum jeena seekha
par marte marte hum marna nahi seekha

Arz kiya hai
Jeeyenge ek saath
Marenge ek saath
To hi do dil
Milenge ek saath

Arz kiya hai
Nazar se nazar milaaya karo
dil ke kareeb aaya karo
kuch meri suno
kuch apni sunaaya karo
Mere khwaabo mein tum roz aaya karo
Par mere neende mat churaaya karo
Rokar mujhe hasaaya karo
Par haskar mujhe mat rulaaya karo

Arz kiya hai
Na cold – drink aache lage
Na hot – drink aache lage
Na ice – cream aache lage
Tere Pyaar mein
 sab kuch sache lage

Arz kiya hai
Sharaab peene se nasha hota hai
Sharaab peene se nasha hota hai
Pyaar karne se mazaar aata hai

Arz kiya hai
Haste haste tum hasna sake
Rote rote tum rona sake
Teri yaadon mein hum sake

Arz kiya hai
Aankhon par tumhe bithaaya humne
Dil mein chhupaliya humne
labon par tumhe sajaliye humne
Bas ek baar keh bhi do
Ke tumhe jeevan saathi banaliya humne

Arz kiya hai
Yaadon mein tum aati ho
Sapno mein tum rulaati ho
Chaahat badaati ho
Itna bechain kyo karati ho

Arz kiya hai
Saagar ke kinaare mein baithkar
Teri raah dekhta hoon
Saagar ke kinaare mein baitkar
Teri raah dekhta hoon
Tum jab saamne aa jaati ho
To kuch nahi keh paata hoon

Arz kiya hai
Pairon mein paayal baandh kar aati ho
Dil mein kuch keh jaati ho
Labon ko ghayal kar jaati ho
Itna kyo sataati ho

Arz kiya hai
Tum aaye to phool khilne lage
Tum aaye to phool khilne lage
tum gaye to baarish hone lage

Arz kiya hai
Bhagwaan, Ishwaar Alah hai ek
magar inke roop hai Anek
Kuch shaktiya hai zyaada
Kuch shaktiya hai kam
Magar nahi hai
Yeh kisi se kam

Arz kiya hai
Hasna padega rona padega
Zindagi mein aaye to jeena padega
Kal kya pata kya hoga
Maut bhi aaye to marna padega

Arz kiya hai
Fauji bhai log mera salaam
Tum log karte ho bahut bade kaam
Hojaate ho desh ke liye Qurbaan
Aur Puruskaar mein milte ho inaam
Shaheed logo mein likhdete hai tera naam
Isliye Fauji bhai log mera salaam

Arz kiya hai
Dost Chhod gaye
Pyaar Bichhad gaye
Zindagi mein bas
Hum akele Hogaye

Arz kiya hai
Phool khilte hai bahaaron mein
Log milte hai nazaaron mein
Phool khilte hai bahaaron mein
log milte hai nazaaron mein
Dil milte hai Ishaaron se
Pyaar hota hai Nigaaho se

Arz kiya hai
Na aankhen kuch keh rahi hai
Na labon kuch keh rahi hai
na aakhen kuch keh rahi hai
Na labon kuch keh rahi hai
Mere dil mein bas
Tu reh rahi hai

Arz kiya hai
Dil mein ek baat hai
Zara gaur se suniyega
Dil mein ek baad hai
Zara gaur se suniyega
Tu hi meri pyaar hai
Zara sambalkar chaliyega

Arz kiya hai
Tu hi meri shabnam
tu hi meri laila
Tu hi meri shabnam
Tu hi meri laila
Ab mera dil
Nahin hai akela

Arz kiya hai
Gulaabi aankhen
Nasheele hoth
Mastani Chal
Udaaye sabke hosh

Arz kiya hai
Aankhen bandh karke tum aati ho
Dil mein tum sama jaata ho
Labon se kuch keh jaati ho
Dil mein kuch aur keh jaati ho
Par dil mein apna bana le jaati ho

Arz kiya hai
Chaandni raatein
Haseen Vaade
Do mulakaaton mein
Pyaar bhari baatein

Arz kiya hai
Dost aate hai, dost jaate hai
Dost aate hai, dost jaate hai
Par ek sacha dost
Tumhaare dil mein hamesha reh jaate hai

Arz kiya hai
Dil ke kareeb aao
Mujhe gale se lagao
Thoda muskurao Thoda sharmao
Magar
Mera dil ko tod ke mat jao

Arz kiya hai
Usne kaha suniye
Humne kaha kahiye
Usne kaha zara dheere Chaliye
Humne kaha zara saath chaliye



Arz kiya hai
Dosti kiye to nibhaayenge
Dosti kiye to nibhaayenge
tum agar kaho to
Tumhaare liye hum
Kuch bhi karjaayenge

Arz kiya hai
Gussa mat karo
Saza mat karo
Dil ke kareeb aakar
dawa mat do

Arz kiya hai
Dil jodna seekha hai todna nahi
Dil jodna seekha hai todna nahi
Dil dena seekha hai lena nahi

Arz kiya hai
Dosti karnewale to khoob dekhe hai
Dosti karnewale to khoob dekhe hai
Par tujh jaise dosti todnewale ko
Pehli baar dekhe hai

Arz kiya hai
Dost bhi paraye lagne lagi
dosti bhi paraye lagne lagi
jo apna tha pehle vo
Abhi gair bhi lagne lage
Dil diya humne Jaan bhi denge
tum nahi mile to
Sab kuch Qurbaan kardenge

Arz kiya hai
Chot khaayi thi usne
to hume dard lagta hai
Chot khaayi thi usne
to hume dard lagta hai
Dusri mulakaaton mein
Humein kya hone lagta hai

Arz kiya hai
Vo Aayi phoolon ka sugand lekar
Vo aayi phoolon ka sugand lekar
Vo gayi phoolon ka bahaar lekar

Arz kiya hai
Door baithkar hume yaad karti ho
Door baithkar hume yaad karti ho
Paas aane se
Humse door kyo chali jaati ho


 
Arz kiya hai
Do dil mile to phool khile
Do dil mile to phool khile
Aankhon ki nazaaron se hi
Pyaar badne lage

Arz kiya hai
Has kar gayi
Rula kar gayi
Do vaade kiye the humne
Saath janmon hogaye

Arz kiya hai
Tasveer dekhkar teri raah dekhta hoon
Tasveer dekhkar teri raah dekhta hoon
Tum jab nahi aate,
tab main khayalo mein khojaata hoon

Arz kiya hai
Na phool barsaaye
Na shola Jalaaye
Na phool barsaaye
Na shola jalaaye
Teri yaadon mein
Hum mar hi jaaye

Arz kiya hai
Na hum rahe, Na tum rahe
Phir bhi do dil milte rahe
Aur dheere dheere
Mohabbat badne lage

Arz kiya hai
Sacha pyaar aate hai toofan se
Miljaate hai dharte se
Samajaati hai
 Samundar ki lehron mein
Aur Khojaate hai
Kisi ki dil mein

Arz kiya hai
Na vo kuch keh gaye
Na hum kuch keh gaye
Dil mein apni baat
Dabaa kargaye

Arz kiya hai
Tasveer lekar zara sambhalkar rakhiyega
Tasveer lekar zara sambhalkar rakhiyega
Dil mein jo baat hai kisi aur se mat kayega

Arz kiya hai
Yaadon mein aa jaati hai
Sapno mein rula jaati hai
Aisi cheez hai kya tu
Jo mujhe humse tadpaati rehti hai
Arz kiya hai
Dhol baje dham Dham
Paayal baje cham cham
Taal bole apni sargam
Aur mera dil bole
Oh meri humdum

Arz kiya hai
Has kar gayi
Rula kar gayi
jo apna tha pehle
Vo abhi Chhod kar gaye

Arz kiya hai
Has kar gaye
Rula kar gaye
Zindagi mein humein
Bas akela kargaye

Arz kiya hai
Na Aaj ka chaand hoga
Na kal ka suraj hoga
Phir bhi do dil
hamesha jawaan hoga

Arz kiya hai
Has kar gayi
Sharma kar gayi
Vo aayi thi saamne
Teen Shabd keh gaye

Arz kiya hai
Na Sona Chaahiye
Na Heera chaahiye
Zindagi mein bas
Tumhaara pyaar chaahiye
Na paisa chaahiye
Na gaadi chaahiye
Zindagi mein bas
Tumhaara pyaar ka ehsaas chaahiye

Arz kiya hai
Zindagi ek jung hai
Aur is jung mein hum ek sipahi hai
Kabhi hum haar kar jeet jaate hai aur
Kabhi hum jeet kar haar jaate hai
Har mushikilo ka saamna karte hai
Jaisa bhi ho zindagi
Humein chalte jaana hi hai
 
Arz kiya hai
Aye Waqt ne humein akela kargaye
Phool bhi Murjhaagaye
Jo apna tha pehle chhod gaye
Ab zindagi mein akele hogaye
Is pal humein apna
Taqdeer khud likhni hogi

Arz kiya hai
Badal garja barsaat aaye
Suraj nikla dhoop aaye
Phool khila chaman aaye
Mausam hai itna suhaana
Par tum kyon nahi aaye

Arz kiya hai
Pari ho tum ya Rani ho tum
Haqeeqat ho ya khwaab ho tum
Jo bhi ho Lajawaab ho tum

Arz kiya hai
Dil mein ek baat hai
Mann mein ek raaz hai
Jo baat khaas hai
Tu hi meri pyaar hai

Arz kiya hai
Na chaahunga kisi se zyaada
Na chaahunga kisi se kam
Bas Chaahunga ke
Janam Janam saath rahe hum

Arz kiya hai
Jo Vaada kiya to nibhaana padega
Tumse humko milne aana padega
Ek baar nahi sau baar padega
Jee kar marna padega
Mar kar jeena padega
Has kar rona padega
Rokar hasna padega
Jo vaada kiye to nibhaana padega
Humein saath janmon hojaana padega

Arz kiya hai
Deewana hoon main kisi ke pyaar mein
Anjaana hoon main kisi ke khayaalon mein
Mastana hoon main kisi ke chaalon mein
Aur…
Begaana hoon main kisi ke baahon mein

Arz kiya hai
Aye waqt ne humein akela kargaye
Jo apna tha pehle chhod gaye
Ab zindagi mein kya hoga
Wohi hoga jo Manzoor – e – khuda hoga

Arz kiya hai
Vo pyaar kis kaam ka
Jismein dard na ho
Vo pyaar kis kaam ka
Jismein dard na ho
Vo dard kis kaam ka
Jismein dawa na ho

Arz kiya hai
Labon se kuch kehti hai
Aankhon se kuch kehti hai
Paas aane se
Dil mein chhipkar Baithi hai
Door jaane par
Humse kyo ghabraati hai

Arz kiya hai

Reshmi zulfe lehraati ho
Payaalo ka chhankaar suna jaati ho
Sureeli sur mein tum gaaye jaati ho
Itna bechain karke mujhe kyo sataati ho

Arz kiya hai

Raste hai lambe
Duur tak jaana hai
Manzil hai Apni
Taqdeer khud Bana na Hai

Arz kiya hai
Devdas hoon main bina sharaab ke
Devdas hoon main bina sharaab ke
Chaitra kahan hai bina kisi jawab ke
Har roz aati hai mere khwaabon mein
Mera neendh churakar rula jaati hai


Arz kiya hai
Reshmi zulfe lehraati ho
Payalo ka chankaar suna jaati ho
Suri sur mein tum gaye jaati ho
Itna bechain karke mujhe kyo sataati ho

Arz kiya hai
Main paagal deewana
Hoon main aadmi Anjana
Par tere liye banjaaonga
Main Aashiq Mastana

Arz kiya hai
Vaadiyo mein gunjta hoon tera naam
Phoolon se main karata hoon teri pehchaan
Sharaab mein dhoondta hoon teri jaam
Har raat mujhe lagti hai mujhe Shaam
Par tum kyo nahi nahi aate meri jaan

Arz kiya hai
Yaad aati hai vo dosti ki
Jo ek pal mein bhula kargayi
Yaad aati hai vo pyaar ki
jo ek pal mein sab kuch degayi
Yaad aati hai us lamhe ki
jo main pal pal jeeta hoon uske bina
Par bhula nahin sakte vo yaadein
jo har baar main jeeta aaya hoon

Arz kiya hai
Waqt tham gaya kisi ke intezaar mein
Dil Jam gaya kisi ke pyaar mein
Nazar se nazar mili humaari takraar mein
Phir Bhool gaya sab kuch humaari pyaar mein

Arz kiya hai
Devdas hoon main bina sharaab ke
Devdas hoon main bina sharaab ke
Chaitra kahan hai bina kisi jawab ke
Har roz aati hai mere Khwaabo mein
Mera needh churakar rula jaati hai

Arz kiya hai
Na Vo rahe…Na Hum rahe
phir bhi humaari Chaahat badti rahe
Raaton ko tadpaati rahe…Din mein Sataati rahe
Phir bhi unki yaad aati rahe

Arz kiya hai
Tum gaye to
Zindagi ka mod ruk gaya
Tum gaye to
Zindagi ka mod ruk gaya
Jaane kaisa mera
Sab kuch Badal gaya
Today, there have been 32 visitors (57 hits) on this page!
 
Enjoy Surfing This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free